Kya Insan per Auliya ki Sawari aa sakti hai - Roman English


* Kya Insan per Auliya ki Suwari aa sakti hai? *

Awliya ,wali Allah ki sawari insan par ana kaisa ?









Sawal : Mashoor hai, baaz jaga Mard ya Aurat per Shaheed ya Waliullah ki "Suwari" aati hai iski sharae haisiyat kya hai?

Jawab : Baaz auqat to yeh nira dhong hota hai jo k sasti shohrat k bhokay Mard-w-Aurat Awam ko apni taraf mutawajja karne aur bheerh jamane k liye aisa karte hain aur basa auqat yeh Shareer Jinnat hote hain jo k kisi Insan per ghalba pa kar aisi batain karte hain. 

==================

Ala Hazrat, Imam e Ahle Sunnat, Maulana Shah Imam Ahmed Raza Khan farmate hain: "Yeh (ya'ani Shareer Jinnat) sakht jhotay kazzab hote hain, apna naam kabhi Shaheed batate hain aur kabhi kuch. Is waja se jahilan-e-bai khirad (ya'ani bai aqal jahilon) main "Shaheed ka ser per aana" mashoor ho gaya, warna Shohda-e-Kiram (Auliya-e-Izam) aisi khabis harkat se Pak-w-Saaf hote hain."

Reference: (Fatawa Rizvia, Jild 21, Page 218)

Post a Comment

Previous Post Next Post