Shohar Ke Huqooq biwi par (Roman English)

<¤> Shohar Ke Huqooq Biwi Par Sahih Hadith ki Roshni me. <¤>

Allah ta'ala irshad farmata hai wo (biwi) tumhari libas hai aur tum unke libas.
(Kanzul iman : Para-2, Surah Bakar : Aayat-187)
 
Ummul Momenin Hazrat Aayesha Siddiqa & Hazrat Abu Huraira RadiAllahu
Anhu se riwayat hai ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam ne
irshad farmaya :
Agar main kisi ke liye (Allah ke siwa) sajde ka hukm deta to aurato ko
hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.
(Tirmizi Sharif : Jild-1, Bab-788, Hadees-1158, Page-594)
 
Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam se daryaft kiya gaya ki
behtarin aurat ki pehchan kya hai.?
Aap Sallallaho Alayhi Wasallam ne farmaya jo aurat apne shohar ki
ita'at wa farmabardari kare.
(Nisaai sharif : Jild-2, Page-364 )

Hazrat Abu Said RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Sarkare Madina
Sallallaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
Shohar ki na shukri karna ek tarah ka kufra hai.
(Bukhari Sharif : Jild-1, Hadees-28, Page-109)

Hazrat Abdullah Ibne Abbas se riwayat hai ki Sarkare Madina Sallallaho
Alayhi Wasallam ne irshad farmaya ki:-
Mujhe dozakh dikhayi gayi.maine waha aurato ko zyada paya uski wajah
ye hai ki wah kufra karti hai.

Sahaba-e-Kiram ne arz kiya kya wo Allah ke sath kufra karti hai?

Pyare Aaqa Sallallaho Alayhi Wasallam ne farmaya nahi.!
Wo shohar ki na-shukri karti hai. Jo ke ek tarah ka kufra hai aur
ehsan nahi manti agar tu kisi aurat se umar bhar ehsan aur neki ka
sulook kare lekinek baat bhi khilafe tabiyat ho jaye to ye keh degi.
maine tujse kabhi aaram aur sukoon nahi paya.
(Bukhari Sharif : Jild-1, Hadees-28, Page-109)

Hazrat Umar RadiAllahu Anhu Se riwayat hai ki Sarkare Madina
Sallallaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya :
Tumko nahi malum aurat ke liye shirk ke baad sabse bada gunah shohar
ki na-farmani hai.
(Gunyatuttalebin : Page-114)

Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ki Sarkare Madina
Sallallaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:-
Shohar apni biwi ko jis waqt bistar par bulaye aur wo aane se mana
karde to us aurat par Khuda ke farishte subah tak la'ant karte rehte
hai.
(Bukhari Sharif : Jild-3, Hadees-178, Page-96)

Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya:
Jab shohar apni hajat (sohbat) ke liye biwi ko bulaye to biwi agar
roti paka rahi ho to usko lazim hai ki sab kaam chhod kar shohar ke
paas hazir ho jaye.
(Tirmizi Sharif : Jild-1, Hadees-1159, Page-595)

Hazrat Aayesha RadiAllahu Anha se marwi hai ki Sarkare Madina
Sallallaho Alayhi Wasallam ki khidmat me ek jawan aurat hazir huyi aur
arz kiya

YA RASOOLALLAH..!
Main jawan aurat hu muze nikah ke paigam aate hai magar me shadi ko
bura samazti hu. Aap mujhe bataiye biwi par shohar ka kya haq hai.?

Pyare Aaqa Sallallaho Alayhi Wasallam ne farmaya :
Agar shohar ki choti se edi tak peep ho aur woh use zaban se chate to
bhi shohar ka haq ada nahi kar payegi.
Us aurat ne pucha : to kya me shadi na karu.?

Aap Sallallaho Alayhi Wasallam Ne farmaya tum shadi karo kyun ki isme
bhalai hai.
(Mukashefatul Kuloob : page-617)

Post a Comment

Previous Post Next Post